wo raqs karne lagin hawaen wo badliyon ka payam aaya ye kis ne bikhrain rukh pe zulfen ye kaun baala-e-baam aaya mujhe khushi hai ki aaj mera junun bhi yun mere kaam aaya samajh ke diwana-e-mohabbat tumhaare honton pe nam aaya mujhe surahi se kya gharaz hai mera nasha asl mein alag hai idhar tumhaari nigah utthi udhar surur-e-dawam aaya ye husn fani hai meri jaan ye jawaniyon pe ghurur kaisa jahan chadha mehr-e-nim-rozi usi jagah waqt-e-sham aaya chahakti ye bulbulen ye gulchin chaman pe haq hai sabhi ka lekin kisi ke hisse mein phul aae kisi ke hisse mein dam aaya diya mujhe maut ne sambhaala lahad mein bhi ho gaya ujala ye qabr par kis ne gul chadhae ye kaun mah-e-tamam aaya na to faulun na faelatun na bahr koi na koi takhti ye hai inayat kisi ki 'shewan' tujhe shuur-e-kalam aaya