jis ke dil mein koi arman nahin hota hai meri nazron mein wo insan nahin hota hai khud-kushi jurm samajhte hain zamane wale jaan dena koi aasan nahin hota hai har ghadi dil mein raha karta hai yaadon ka hujum ye wo ghar hai kabhi viran nahin hota hai bhuli-bisri hui yaaden bhi rula deti hain be-sabab koi pareshan nahin hota hai wahshat-e-dil ka taqaza hai ki bas pyar karo pyar ke saude mein nuqsan nahin hota hai umr-bhar ke liye aa jao mere dil mein raho apne ghar mein koi mehman nahin hota hai husn-e-akhlaq se man-bap ki khidmat karna farz to hota hai ehsan nahin hota hai