jo sakun na ras aaya to main gham mein dhal raha hun gham-e-zindagi se kah do ki main rukh badal raha hun main bana hun ashk-e-gham khud tumhein kyun main khal raha hun ye nikalo mera qissa ki main khud nikal raha hun teri bazm-e-khud-gharaz ne kai rang badle lekin main harif-e-shama ban kar usi tarah jal raha hun yunhi talte rahe tum meri khwahishon ko lekin magar ab zara sambhalta main bahut machal raha hun rah-e-shauq mein unhen bhi lagi mere sath thokar wo sambhal chuke hain lekin main abhi sambhal raha hun wahi azm-e-mustaqil hai rah-e-zindagi mein 'akhtar' na gham-e-shikasta-pai na main hath mal raha hun