jis ke hathon mein hua tha sang-rezon ka shikar aaj wo bhi ho gaya apne gunahon ka shikar aur kitne din meri nazron ko tum doge fareb aur kitne din rahunga main tilismon ka shikar bad-guman jis se raha karti thi suraj ki kiran ho gaya wo ped bhi kali ghataon ka shikar chal pade hain log mujh ko le ke suli ki taraf aakhirash main ho gaya apne usulon ka shikar apni shohrat ka mujhe us waqt andaza hua shakhsiyat meri hui jab nukta-chini ka shikar sar kati lashen milengi tum ko har ek mod par raushni ho jaegi jis dam andheron ka shikar 'badr' tera shukriya ki tu bhi mere sath hai main akela hi nahin jhuti umidon ka shikar