zamin ko bhi khala se misal di jae jo zindagi se mohabbat nikal di jae nikal hi aaega har masale ka hal khud hi jo darmiyan se hujjat nikal di jae phir us ke ba'd to mashq-e-sukhan akarat hai agar khayal se jiddat nikal di jae meri nazar mein hai wo shakhs rahm ke qabil ki jis ke mal se barakat nikal di jae qubul hai ye tamannaon ka hujum mujhe magar ye wasl ki hasrat nikal di jae 'munir' khalq-e-khuda ko mile sukun ka sans mere watan se siyasat nikal di jae