jis ki talab mein umr ka sauda nahin hua us khwab ka sarab bhi apna nahin hua apni salib sar pe liye chal rahe hain log shahr-e-saza mein koi kisi ka nahin hua kahne ko ji sambhal to gaya hai magar kahin ek dard hai ki jis ka mudawa nahin hua us ne mere baghair guzari hai zindagi is aagahi ka zahr gawara nahin hua ab bhi hai mo'tabar to khuda ki ata hai ye warna wafa ke nam pe kya kya nahin hua ai harf-e-baryab teri khair par wo log jin par dar-e-qubul kabhi wa nahin hua