jis ko aadat wasl ki ho hijr se kyunkar bane jab uthe ye gham ki dil ka aaina patthar bane ab jo wo banwaen gahna yaad rakhna gul-farosh phul bach jaen to meri qabr ki chadar bane baad aaraish balaen kaun lega mere baad yaad karna mujh ko jab zulf-e-pari-paikar bane hai tumhaare samne to jaan ka bachna muhaal tum se jab chhuten to dekhen ghair se kyunkar bane donon aashiq tere aur donon ki yakja bud-o-bash meri jaan jaan-o-jigar mein dekhiye kyunkar bane aarzu-mand-e-shahadat ki wasiyyat sab se hai nam khoda jae mera jab koi khanjar bane dil mushabbak ho gaya tir-e-nigah-khana se ab tumhaari yaad ke aane ko lakhon ghar bane ghair se koi talluq hi na rakh ai jang-ju gar bigad mujh se bigad jo kuchh bane mujh par bane khuftagan-e-khak chaunk utthe chale kuchh aisi chaal aaj to ai meri jaan tum fitna-e-mahshar bane chahte ho tum rahun mar kar bhi main qadmon se dur kahte ho qabr us ki mere kuche se bahar bane mar ke bhi paen lab-e-saqi ka bosa kya majal wan na pahunche gar hamari khak ka saghar bane daman-e-qatil ke dhabbon ki gawahi ho zarur gar hamare khun ka ai dosto mahzar bane dil mujhe achchha bura jaisa banaya de diya sar to koi puchhta kaisa bane kyunkar bane qabr ka kona ho maskan dam nikal jae 'rashid' khana-e-tan gir chuke jaldi ki apna ghar bane