kan laga kar sunti raaten baaten karte din kahan gain wo achchhi raaten baaten karte din ek hi manzar shahr pe apne kab se thahra hai kuchh soi kuchh jagi raaten baaten karte din diwanon ke khwab ki surat an-mil aur bejod apne aap se ladti raaten baaten karte din jaane kab ye mel karenge ek-duje ke sath khamoshi mein dubi raaten baaten karte din tanhai ke khauf ki dekho kya kya shaklen hain sannate mein lipti raaten baaten karte din 'amjad' apne sath rahenge kab tak raston mein gahri soch mein uljhi raaten baaten karte din