jis ko apna bana liya tu ne us ko sab kuchh ata kiya tu ne ai sitamgar ye kya kiya tu ne apna ghar bhi jala liya tu ne gumrahi mein pade hue the log manzilon ka pata diya tu ne pichhe pichhe jo mere chalte the un ko aage badha diya tu ne parsai ka jis ko dawa tha us ko mai-kash bana diya tu ne bughz-o-nafrat ka ye natija hai doston ko bhula diya tu ne har kisi ko haqir samjhe hai khud ko kitna gira diya tu ne fikr manzil ki jab hui 'rahi' naqsh-e-pa hi mita diya tu ne