koi taza ghazal suni hai abhi

koi taza ghazal suni hai abhi
dil mein ek tis si uthi hai abhi

tez barish mein nek bandon ki
koi diwar thi giri hai abhi

is tarah hai udas meri gali
jaise bewa koi hui hai abhi

sirf mera hi ghar tha bosida
barq is par hi bas giri hai abhi

baad ki kuchh khabar nahin hamdam
zindagi mujh ko dhundhti hai abhi

thanda jhonka hawa ka aaya hai
kya saba mujh ko dhundhti hai abhi

waqt achchha kabhi na aaega
rahzani rah mein khadi hai abhi

maut aankhen bichhae baithi hai
zindagi mujh se kah gai hai abhi

meri manzil to aaegi 'rahi'
justuju mein shaguftagi hai abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close