jis ko dekhe bina qarar nahin

jis ko dekhe bina qarar nahin
kaise kah den ki us se pyar nahin

rukh pe tere agar nikhaar nahin
tu bahaar ai sanam bahaar nahin

is mein sud-o-ziyan ka kar na hisab
ishq ibaadat hai karobar nahin

rok lo tum se gar ye rukta hai
dil pe mera to ikhtiyar nahin

go musibat mein sab nadarad the
warna ishrat mein kaun yar nahin

kyon na ji-bhar ke ro liya jae
pas jab koi gham-gusar nahin

chup rahun kaise tak ke zulm-o-sitam
aadmi hun koi mazar nahin

hajaten hain gini-chuni sab ki
hasraton ka koi shumar nahin

kya yaqin ahd-e-wasl ka ai 'sada'
zist ka hi jab eatibar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close