kaam paDa yaad aaya maula hai ye tarz-e-ibaadat kaisi

kaam pada yaad aaya maula hai ye tarz-e-ibaadat kaisi
nisbat jis ko maula se ho us ko hajat-wajat kaisi

jab dil mein nahin masjud tere sab sajde hain be-sud tere
ma'bud basa ho dil mein to sajde ki hai zahmat kaisi

chahe gar tu us ki rahmat kar us ke bandon ki khidmat
khilqat se hai nafrat gar to khaliq se hai raghbat kaisi

baat teri ke hum ai wa'iz ho na sakenge qail hargiz
duniya hi jab chhod chuke ho jannat ki phir hasrat kaisi

mat bandon se kuchh mang bashar bande to hain aap gadagar
tu maula ki bas kar 'ibaadat bandon ki hai itaat kaisi

malik bhi wo raaziq bhi wo sare jag ka khaliq bhi wo
us par hai tera takiya 'sada' phir ye fikr-e-uqubat kaisi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close