jis ko dekho wahi aawara-o-saudai hai zindagi hai ki kisi dasht ki pahnai hai shoala-e-gham ko rag-e-jaan mein kiya jazb to phir har nazar surat-e-khurshid nazar aai hai dub kar dil mein ubharti hai koi mauj-e-khayal abr chhaya hai kabhi barq si lahrai hai git ke rup mein paband bahaaron ki faza chaman-e-dil mein mere aur nikhar aai hai lazzat-e-ishq se bharpur gham-e-dil ki sada parda-e-shab mein kai chand uda lai hai shabnami aankh se dekho to chaman ki jaanib sina-e-gul mein shararon ne numu pai hai sochta hun ki zamane se nikal kar aage phir wahi main hun wahi gosha-e-tanhai hai apne hone ki haqiqat ka yaqin hai lekin aankh kyun jalwa-e-hasti ki tamannai hai ye ajab silsila-e-qaid-e-nazar hai ki 'nadim' har nazar apni hi duniya ki tamashai hai