bar-ha dil ko main samjha ke kaha kya kya kuchh na suna aur khoya mujh se mera kya kya kuchh izzat-o-abru o hurmat o din o iman roun kis kis ko main yaro ki gaya kya kya kuchh sabr o aaram kahun ya ki main ab hosh-o-hawas ho gaya us ki judai mein juda kya kya kuchh ishq kis zat ka aqrab hai ki lagte hi nish dil ke sath aankhon se pani ho baha kya kya kuchh sada-rui ne to khoya dil o din se dekhen khat ke aane mein hai qismat ka likha kya kya kuchh dakhl kya rah-e-mohabbat mein niko-nami ko aaya is kuche mein jo un ne suna kya kya kuchh walih-o-shefta o zar-o-hazin o majnun apne aashiq ko kal us ne na kaha kya kya kuchh girya-e-shisha kabhi tha to kabhi khanda-e-jam saqi is daur mein tere na hua kya kya kuchh ghurra mat ho jo zamane se teri ban aai tha wo kya kya ki na bigda na bana kya kya kuchh shadi aane ki na kar yar na jaane ka gham aaya kya kya na kuchh is ja na gaya kya kya kuchh sina qanun o ghina nala o dil hai mizrab nikle hai saz-e-mohabbat se sada kya kya kuchh dosto haq mein taraqqi o tanazzul apne kya kahen hum ko zamane se hua kya kya kuchh zoaf o na-taqati o susti o aaza-shikani ek ghante mein jawani ke badha kya kya kuchh sair ki qudarat-e-khaliq ki butan mein 'sauda' musht bhar khak mein jalwa hai bhala kya kya kuchh