jis ko dekho wo giraftar-e-bala lagta hai shahar ka shahar hi aaseb-zada lagta hai machhliyan sari samundar ki laraz uthti hain koi tinka bhi agar tinke se ja lagta hai khud ko duniya se hunar-mand samajhne walo ghar se niklo to haqiqat ka pata lagta hai dosti pyar wafa sath nibhane ki qasam har amal us ka banawat se bhara lagta hai ghar ke mahaul mein is darja taffun hai 'atiq' sans lena bhi yahan ab to saza lagta hai