kho baithi hai sare khad-o-khal apni ye duniya ab to hai faqat ek dhamal apni ye duniya sadiyon ki sitam-dida gham-o-ranj se mamur kis darja hai zakhmon se nidhaal apni ye duniya zor-awari-e-zulm hai is darja ki qatil kahte hain ki hai un ka manal apni ye duniya kab tak ye tera husn-e-taghaful hai khuda-ya ek laib hai bar-dast-e-majal apni ye duniya khun-rezi-e-adam ka ye aalam hai ki ab to lagti hai bas ek gah-e-qital apni ye duniya kyun khun-e-bashar khun-e-tamanna hai har ek samt kyun khun se hui jati hai lal apni ye duniya hai khar ki manind meri ruh mein paiwast ye nish-e-gham-o-dard khayal apni ye duniya manind-e-salib is ko liye phirta hun din raat kandhon pe uthae ye wabaal apni ye duniya ab mujh se sambhalti nahin ye dard ki saughat le tujh ko mubarak ho sambhaal apni ye duniya