jis ko khabar nahin use josh-o-kharosh hai jo pa gaya wo raaz wo gum hai khamosh hai hai ek shor-e-bulbul-o-saut-e-shagufta-gul ye surat-e-afiyat hai wo yasin-e-hosh hai aai thi shakl dil ke jo aaina mein nazar band aankh is se aur zaban bhi khamosh hai ye haal ho ki aap mein aalam ko dekh le gar dil mein tere ishq ki kasrat ka josh hai kab hai kamal-e-ishq pe hawi gham-e-firaq ek ek zarra qais ko mahmil ba-dosh hai warafta-e-hawa-e-tarab yaad rakh use jo dard ki khatak hai nawed-e-sharosh hai barq-e-jamal nafe-e-ma-o-shuma hui kya zikr-e-sham-e-tur ki wo bhi khamosh hai kya hai tera hudus-o-qidam hum to hain wahan hasti jahan adam ke liye khwab-nosh hai ushshaq jama pahne hain taslim-e-ishq ka dastar-o-jubba shaikh ka han parda-posh hai tere jahan se mahfil-e-rindan juda hai shaikh har ek mughbacha yahan kasr-e-farosh hai saqi ki ek nazar hi hamein mast kar gai kis ko surahi-o-kham-o-saghar ka hosh hai amrit ke jhaale mar kiya la-taqnatu ki hain is bazm mein ye mashghala-e-nao-nosh hai 'kaifi' ye ahl-e-dahr se kah do pukar kar is bazm mein wo aae ki jo sarfarosh hai