jis ko mana tha khuda khak ka paikar nikla hath aaya jo yaqin wahm sarasar nikla ek safar dasht-e-kharabi se sarabon tak hai aankh kholi to jahan khwab ka manzar nikla kal jahan zulm ne kati thin saron ki faslen nam hui hai to usi khak se lashkar nikla khushk aankhon se uthi mauj to duniya dubi hum jise samjhe the sahra wo samundar nikla zer-e-pa ab na zamin hai na falak hai sar par sail-e-takhliq bhi girdab ka manzar nikla gum hain jibril o nabi gum hain kitab o iman aasman khud bhi khalaon ka samundar nikla arsh par aaj utarti hai zaminon ki wahi kurra-e-khak sitaron se munawwar nikla har payambar se sahife ka taqaza na hua haq ka ye qarz bhi nikla to hamin par nikla gunj utha naghma-e-kun dasht-e-tamanna mein 'wahid' pa-e-wahshat had-e-imkan se jo bahar nikla