kahin shunawai nahin husn ki mahfil ke khilaf gul na kyun hanste rahen shor-e-anadil ke khilaf jaan-o-iman bhi wahi dushman-e-jaan-o-iman hum gawahi bhi na denge kahin qatil ke khilaf kisi jade pe chalo chhodegi tanhai na sath qadam utthen to kidhar ishq ki manzil ke khilaf bazm-e-yaran ho ki mai naghma ke faizan-e-sukhan sab hain sazish mein sharik us ki mere dil ke khilaf hijr mein ji ke bahalne ke the jitne hile wahshat ek sath rahi ho gae sab mil ke khilaf isi aaghosh mein dam todengi aa kar maujen bhagti phirti hain bekar hi sahil ke khilaf aql-e-duniya ka tumhein dawa hai be-wajh 'wahid' do-qadam chal nahin sakte kabhi tum dil ke khilaf