jis ko na dil pe naz ho naz tere uthae kyun uth na sake jo aastan le ke wo sar jhukae kyun main jo tera hijab hun kis liye be-naqab hun parda ho jis ka chaak chaak parde mein munh chhupae kyun wo jo na dil mein bhar sake nur-o-ziya ki bijliyan phul mein muskurae kyun zarre mein jagmagae kyun husn-e-tabah-kar hai chahe kisi bhi shai mein ho ho na fareb agar hasin koi fareb khae kyun chhaya hua hai jab tamam aalam-e-kaenat par gosha-e-tang-o-tar mein dil ke wo phir samae kyun hashr nae uthae kyun husn ko gar qarar ho husn jo be-sukun na ho fitne nae jagae kyun ab to ayan hue baghair jaane na paoge kabhi chhup ke meri nazar se tum khalwat-e-dil mein aae kyun shauq ho jis ka be-karan dil se bhi ho jo bad-guman apni nigah ko bhi wo jalwa tera dikhae kyun pir-e-mughan shajia ho zarf bhi jab wasia ho baada-kash-e-nigah-e-mast nashshe mein ladkhadae kyun