jis ko samjhe the tawangar wo gadagar nikla zarf mein kasa-e-darwesh samundar nikla kabhi darwesh ke takiya mein bhi aa kar dekho tang-dasti mein bhi aaram mayassar nikla mushkilen aati hain aane do guzar jaengi log ye dekhen ki kamzor dilawar nikla jab girafton se bhi aage ho pahunch mutthi ki tab lagega ki samundar mein shanawar nikla koi mauhum sa chehra jo bulata hai hamein baadalon ki tarah shaklen wo badal kar nikla dil ajab chiz hai kis mitti mein ja kar boen jad yun pakde ki lage ped tanawar nikla lash qatil ne khuli phenk di chaurahe par dekhne wala koi ghar se na bahar nikla dekhne mein to dhanak chand hi lamhe thi 'anis' sat rangon ka magar didani manzar nikla