jahan dar tha wahan diwar kyun hai alag naqshe se ye meamar kyun hai khuda aazad tha hakim ki had se khuda ke shahr mein sarkar kyun hai bahut aasan hai mil-jul ke bahna nadi aur dhaar mein paikar kyun hai hazaron rang ke phulon se khinch kar bana hai shahd to bekar kyun hai kisi bhi samt se aa kar parinde sajaen jhil to aazar kyun hai teri mahfil mein sab baithe hain aa kar hamara baithna dushwar kyun hai bana kar rakh tu ghar achchha rahega tu malik ban kirae-dar kyun hai tumhaare sath hum aage badhe the hamari pith par talwar kyun hai khuda se kya raqabat hai sanam ki rah-e-masjid nazar mein khar kyun hai ibarat mein na kar tahrif beja hamare nam se bezar kyun hai parinde ko jo mauqa do dikha de bandhe par ka safar lachaar kyun hai padosi ho to phal ya phul late tumhaare hath mein hathiyar kyun hai zamin phaili hui hai aasman tak bas ek tukde pe yun takrar kyun hai