jis ko wo naqsh-e-pa nahin milta zarra bhi khak ka nahin milta log to rote hain gham-e-dil ko hum ko dil ka pata nahin milta kis nujumi se puchhiye ja kar yar milta hai ya nahin milta kyon mere pas aae wo jab tak jism se sar juda nahin milta dil ke do harf wo bhi aapas mein ek se dusra nahin milta marna hai khwab-e-zist ki tabir khwab mein jo mila nahin milta kar chuke sair bhi do-alam ki ek bhi aap sa nahin milta kis sara mein musafir aa utra zindagi ka maza nahin milta jis ne dushman bhula diye sare hum ko wo aashna nahin milta jo dar-e-kar-saz tak pahunche us ko 'nayab' kya nahin milta