le gaya dil kaun mera sau bashar ke samne kis ki surat phirti hai ya-rab nazar ke samne imtihan-e-husn aaine mein lete hain mudam rakh ke wo taswir-e-yusuf ko nazar ke samne dur aabaadi se rakhna apne diwane ko yar ghar na aa jae kisi ka chashm-e-tar ke samne khat kahan wo intizar-e-khat ki bhi lazzat gai haif kyon roya main us ke nama-bar ke samne yar se 'nayab' ab munh pherna achchha nahin tuti-e-dil bandh shahbaz-e-nazar ke samne