jis mein hon ghair ke mange hue jam ai saqi

jis mein hon ghair ke mange hue jam ai saqi
aise maikhane ko mera to salam ai saqi

chahiye mujh ko nae jehd-o-amal ki sahba
mujh pe hai baada-e-doshina haram ai saqi

azm-e-nau jurat-e-sabiq ka sahaara le kar
phir badalna hai zamane ka nizam ai saqi

jis ki mahdud rahe sahn-e-chaman tak parwaz
aise shahin se mujhe kuchh nahin kaam ai saqi

jo badal lete hain tasbih se paimane ko
aise bhi hote hain ruswa-kun-e-jam ai saqi

bit jaegi khizan bit gai fasl-e-bahaar
hai yahan aish na hai gham hi mudam ai saqi

ho wo taqlid-e-junun ya ho wo taqlid-e-khirad
donon hain rasm-e-ghulami ke imam ai saqi

gul-faroshi ke pas-e-parda qafas hain sadha
yan har ek dana hai parwarda-e-dam ai saqi

chashma-e-faiz hai tere hain adu bhi sairab
hai teri chashm-e-karam rahmat-e-am ai saqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close