kya kya na kiya ishq mein kya kya na karenge lekin gham-e-jaanan tujhe ruswa na karenge daman to bhigo denge bahar-haal mere ashk mana koi tufan pa barpa na karenge is tark-e-tamanna mein bhi shamil hai tamanna jab ye hai to phir tark-e-tamanna na karenge har chand sahi maslahat-e-waqt magar hum apna sar-e-khuddar jhukaya na karenge chamkenge wahi charkh-e-mohabbat pe sitare jo gardish-e-aflak ki parwa na karenge jo mang ke lani paden ghairon ke chaman se hum aisi bahaaron ki tamanna na karenge badlenge wahi gardish-e-ayyam ki taqdir jo gardish-e-ayyam se badla na karenge tufan jo safinon ko dubo dete the aksar kya ab wo safinon ko duboya na karenge kyon mashq-e-sitam ke liye aain tarasho hum tum se kisi jaur ka shikwa na karenge