jis mein ruswai mohabbat ki ho wo kaam na kar raaz ko raaz rakh ai dil tu ise 'am na kar manzar-e-subh ka izhaar dam-e-sham na kar jalwa-e-rukh ko 'ayan aa ke sar-e-baam na kar 'azm-e-pukhta ko tu said-e-hawas-e-kham na kar sar-e-aghaz hi andesha-e-anjam na kar main ne ki aah to ruk jaegi raftar teri dekh majbur mujhe gardish-e-ayyam na kar raat-bhar nind nahin aaegi sayyaad hamein tazkira bagh ke phulon ka sar-e-sham na kar kah de haal-e-gham-e-dil aankhon hi aankhon mein 'habib' lab se fariyaad na kar 'ishq ko badnam na kar