dariya-dili ki sun ke main aaya tha aas mein do ghunt bhi mile na samundar ke tas mein pir-e-mughan ka nam na badnam ho kahin jitni ho aaj dal de saqi gilas mein izzat se hai waqar zamane mein dosto izzat nahin to kuchh nahin bashari asas mein mushkil mein hauslon ka sahaara agar na ho aata nahin shuur dil-e-bad-hawas mein apnaiyat khulus wafa rabt-e-bahami sab kuchh milega tum ko gharibon ke pas mein 'fani' daba na sozish-e-qalb-o-jigar ko yun chingariyan chhupata hai koi kapas main