jis ne banaya har aaina main hi tha aur phir us mein apna tamasha main hi tha mere qatl ka jashn manaya duniya ne phir duniya ne dekha zinda main hi tha mahl-sara ke sab chehron ko jaanta hun jis se gae the dil tak rasta main hi tha dekh liya zindanon ki diwaron ne un se qad mein buland-o-baala main hi tha main hi nahin to kaun se log aur kaise log kaun si duniya sahab-e-duniya main hi tha mulkon mulkon phir kar khali hath miyan lautne wala wo shahzada main hi tha duniya tu ne khali hath mujhe jaana zalim tera sab sarmaya main hi tha mera suragh lagane wale jaante hain jab tak tha main apna hawala main hi tha