josh par apni mastiyan aain yaad kis ki ye shokhiyan aain baaton baaton mein le liya dil ko tumhein kyun-kar ye phurtiyan aain kahin un ko na yaad aaya hun aaj kyun mujh ko hichkiyan aain donon aalam hue tah-o-baala un ko kyun khush-khiramiyan aain ruk raha dam jo aa ke aankhon mein yaad kis but ki ankhdiyan aain baal khole naha rahe the wo kya hi ghir ghir ke badliyan aain tum jo soe to talwe sahlane meri aankhon ki putliyan aain phir lagate ho mehndi hathon mein yaad phir rang-reliyan aain josh-e-wahshat ke din phir aa pahunche muzhda ai dil ki bediyan aain pad gaya hath jab gareban par hath do-chaar dhajjiyan aain nakhl-e-ummid barwar na hua phul aae na pattiyan aain main ne furqat mein aahen kin do-chaar log samjhe ki aandhiyan aain kal se dil ko jo kal nahin padti yaad kis ki kalaiyan aain main ne likkhe yahan se matlab-e-dil wan se likh likh ke galiyan aain rukh pe boson ke ban gae hain nishan ghaza maliye ki jhaiyan aain hasb-e-wada jo kal na aae tum dil mein lakhon buraiyan aain aaya gulshan mein jab wo sarw-e-sahi gird phirne ko qumriyan aain apne jine se ho gai nafrat yaad kis ki rukhaiyan aain ji na lagna tha hasraton ke baghair khush hua dil saheliyan aain dil tadapne laga jo sine mein yaad kis but ki shokhiyan aain ashk-e-hasrat nikal pade 'anjum' uttho uttho ki bundiyan aain