jis ne nahin dukh hasti mein saha dukh-dard ki baaten kya jaane

jis ne nahin dukh hasti mein saha dukh-dard ki baaten kya jaane
ghurbat ke alam mein tuti chhat bhigi barsaten kya jaane

us nur ka jo bhi munkir hai andha hai andhere ka basi
wo shams-o-qamar ko kya jaane taron ki baraaten kya jaane

jo sud-o-ziyan ka banda hai dil us ka hawas ka phanda hai
insan se murawwat kya jaane dukh ki saughaten kya jaane

kuchh mir-e-haram mein nakhwat thi kuchh kor-basirat bhi tha wo
pahchan na ho dushman ki jise dushman ki wo ghaten kya jaane

wo haar ke bazi jit gaya main jit ke sab kuchh haar gai
mujh aisi sada-dil ladki bazi-o-bisaten kya jaane

kuchh dukh to mile taqdir se the kuchh us par izafa us ne kiya
wo shahr-e-nigaran ka basi suli pe ye raaten kya jaane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close