manzil pe pahunchne ko taron pe nazar rakhte jab shahr basaya tha raston ki khabar rakhte kahte ho andhera hai koi nahin chehra hai iman yaqin hota aankhon mein sahar rakhte ilzam-tarashi se ab kuchh bhi nahin hasil jab aae ghanim andar ladne ka hunar rakhte is qaht-e-rijalan mein qaid bhi nahin milte jo qafla-e-dil ko mail-ba-safar rakhte hum khak ke zarron ki surat mein pareshan hain taqat ko jama karte to barq-o-sharar rakhte hum sab sag-e-maya hain haddi pe jhapatte hain aise mein kisi par kya ab khak asar rakhte sahra ki tapish har su kargas ka basera hai har shai jo jala di hai kuchh baqi shajar rakhte ek marg-e-musalsal hai afkar hain yakh-basta sahra ki hararat ko shoalon sa jigar rakhte