jis pal main ne ghar ki imarat khwab-asar banai thi us lamhe virani ne bhi ek raftar banai thi hum ne hi mahr ko zahr se badla warna zamin ki gardish ne din gham-khwar banaya tha aur shab dildar banai thi tute dil palkon se sambhaalen ab aise fankar kahan warna ye duniya jab ujdi thi sau sau bar banai thi apni rah ke sare kante main ne aap hi boe the warna khwab-e-azal ne duniya kam-azar banai thi kucha kucha matam hoga galiyon galiyon wawaila is par pahle kyun nahin socha jab dastar banai thi kab tak ek hi manzar chunte apni ana ke zindani aaj usi mein dar mangen hain jo diwar banai thi