zamin pe chal na saka aasman se bhi gaya kata ke par ko parinda udan se bhi gaya kisi ke hath se nikla hua wo tir hun jo hadaf ko chhu na saka aur kaman se bhi gaya bhula diya to bhulane ki intiha kar di wo shakhs ab mere wahm o guman se bhi gaya tabah kar gai pakke makan ki khwahish main apne ganw ke kachche makan se bhi gaya parai aag mein kuda to kya mila 'shahid' use bacha na saka apni jaan se bhi gaya