jis pe neta ki nazar subh rahe sham rahe

jis pe neta ki nazar subh rahe sham rahe
dhons mein us ki na kyon gardish-e-ayyam rahe

husn-e-fashion se jo har waqt khule aam rahe
naujawanon ko na kyon ishq ka sarsam rahe

sar pe sasural mein har shakhs bithata hai mujhe
jab talak jeb mein sarkar meri dam rahe

jis ne li hath mein rishwat use pakda lekin
hukm tha jin ka wo gum-nam the gum-nam rahe

dekhte jaiye kuchh dur nahin hai wo waqt
husn sadkon pe rahe ishq sar-e-baam rahe

mar khai teri ulfat mein hamin ne ai dost
hae qismat ki hamin morid-e-ilzam rahe

mit gae sare tassub ye maza hai 'nawak'
shaikh ke sath hi jab jail mein gumnam rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close