naseh ko budhape mein hai arman abhi tak kahte hain wo biwi ko meri jaan abhi tak khole hue baithe hain wo dukan abhi tak phika hai magar shaikh ka pakwan abhi tak sar hilta hai thuthan mein koi dant nahin hain ban paya na tuta hua dalan abhi tak chappal se marammat hue guzra hai zamana hansta hai mujhe dekh ke darban abhi tak insan ne aaram ki har chiz bana li jo ban na saka ek bhi insan abhi tak kal us ko takabbur tha jhukaunga nahin sar insan hai magar pairo-e-shaitan abhi tak maghrib ke lutere to gae desh se apne har ghar mein girani to hai mehman abhi tak mulla hon ki pandit hon wo shair ho ki neta mashkuk hai har ek ka iman abhi tak biwi ne tamanchon se jo munh lal kiya tha 'nawak' ko miyan yaad hai wo pan abhi tak