jis taraf chahun pahunch jaun masafat kaisi main to aawaz hun aawaz ki hijrat kaisi sunne walon ki samaat gai goyai bhi qissa-go tu ne sunai thi hikayat kaisi hum junun wale hain hum se kabhi puchho pyare dasht kahte hain kise dasht ki wahshat kaisi aap ke khauf se kuchh hath badhe hain lekin dast-e-majbur ki sahmi hui baiat kaisi phir nae sal ki sarhad pe khade hain hum log rakh ho jaega ye sal bhi hairat kaisi aur kuchh zakhm mere dil ke hawale meri jaan ye mohabbat hai mohabbat mein shikayat kaisi main kisi aankh se chhalka hua aansu hun 'nabil' meri taid hi kya meri baghawat kaisi