is bar hawaon ne jo bedad-gari ki phir mere charaghon ne bhi shorida-sari ki main ne kisi hanste hue lamhe ki talab mein is shahr-e-dil-awez mein bas dar-ba-dari ki kuchh aur wasila mere izhaar ko kam tha sau main ne meri jaan sada sher-gari ki ai ahd-e-rawan main tera mehman hua tha lekin tere logon ne badi be-khabari ki haalanki kai log hain naraaz bhi mujh se jo baat bhi ki main ne bahr-e-haal khari ki padh leti hain lafzon ka tanaffus meri sochen kuchh dad to di jae meri dida-wari ki main wo ki hun sadiyon ki masafat ka musafir har lamhe ki aahat ne meri ham-safari ki