jis taraf dekhiye bazar udasi ka hai shahr mein kaun kharidar udasi ka hai ab to aankhon mein bhi aansu nahin aate mere ye alag rup mere yar udasi ka hai ruh bechaari pareshan hai kahan jae ab is qadar jism pe ab bar udasi ka hai apne hone ka guman tak nahin hota mujh ko jaane ye kaun sa mear udasi ka hai ab ye ehsas hamesha mujhe hota hai dost mujh mein ek shakhs talabgar udasi ka hai aaina dekh ke malum hua hai mujh ko zakhm chehre pe bhi is bar udasi ka hai ye udasi mujhe tanha nahin rahne deti han tere baad ye upkar udasi ka hai