jis taraf dekhiye tufan nazar aane lage shahr ke shahr hi viran nazar aane lage jab se shishon ne kiya un ke hawale khud ko tab se patthar bhi pareshan nazar aane lage mukhtasar hum ne kiya khud ko zara sa khud mein kis qadar raste aasan nazar aane lage muflisi mein hui pahchan mujhe apnon ki tha guman jin pe wo anjaan nazar aane lage ek qadam hi to badhaya hai hamari jaanib aap ko faede nuqsan nazar aane lage dekh kar meri talab mera junun-e-manzil raste kaise pareshan nazar aane lage