kisa-e-gul mein band thi khushbu kis qadar khud-pasand thi khushbu sar-nigun tha ghurur-e-ghuncha-o-gul sar-ba-sar sar-buland thi khushbu ahl-e-gulshan the mahw-e-ramish-o-rang han magar fikrmand thi khushbu ud gai aamad-e-khizan se qabl waqai aql-mand thi khushbu aan-e-wahid mein aa ke laut gai aahuon ki zaqand thi khushbu daftar-e-gulsitan tha tulani aur bas harf-e-chand thi khushbu mujib-e-ishq thi magar 'fartash' aagahi thi na pand thi khushbu