jis taraf dekho nazar aate hain tane wale hain kahan naghma-e-dil-gir sunane wale kis se ruthenge bhala kaun manaega hamein zinat-e-shahr-e-khamoshan hain manane wale ab to tabir bhi bar-aks nazar aati hai gum hue jaane kahan khwab suhane wale ye zamane ka taqaza hai karun aah-o-buka warna ye lab the hamesha se tarane wale kaise izhaar karun ishq-e-khafi ka tum se mujh ko majnun ka laqab denge zamane wale ye karishma bhi tumhaari hi mohabbat se hua mit gae hum ko zamane se mitane wale dhadkanen apne ahata se nikal aai hain aisa lagta hai ki nazdik hain aane wale khanjar-e-zulm ne yun hi to gala chuma hai hum hain neze pe bhi quran sunane wale hum to talwar ko khud apni zaban dete hain hum hain har haal mein wade ko nibhane wale is se aage to faqat sath 'falak hai mere qabr tak jaenge kandhon pe uthane wale