hamare KHwab kuchh inikas lagta hai

hamare khwab kuchh inikas lagta hai
ye aadmi to hamein ru-shanas lagta hai

guzarishat bhi bais thin barhami ka kabhi
ab us ka hukm bhi ek iltimas lagta hai

jo apne nam se tahrir us ne bheji hai
hamare khat ka koi iqtibas lagta hai

bila-sabab ye kare bad-guman kyun aakhir
durust! naseh! qayafa-shanas lagta hai

wo hum se tark-e-talluq pe ab hai aamada
hamein to aap ka ye ek qayas lagta hai

khuda kare ki hamein wo dua na koi de
hamein to kosna hi us ka ras lagta hai

tarashen pairahan ab kuchh nai zaminon mein
darida sher ka pichhla libas lagta hai

ye daur kaisa hai jis shakhs se bhi milna ho
pareshan-haal shikasta udas lagta hai

bataen aap ko kya hai 'matin' ki pahchan
sarapa dard hai taswir-e-yas lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close