jis taraf jaun udhar aalam-e-tanhai hai jitna chaha tha tujhe utni saza pai hai mein jise dekhna chahun wo nazar na aa sake hae in aankhon pe kyun tohmat-e-binai hai barha sar-kashi o kaj-kulahi ke ba-wasf tere dar par mujhe daryuza-gari lai hai sadma-e-hijr mein tu bhi hai barabar ka sharik ye alag baat tujhe tab-e-shakebai hai bhulne wale ne shayad ye na socha hoga ek do din nahin barson ki shanasai hai jam-e-khush-rang tahi hai mujhe malum na tha apni tuti hui tauba pe hansi aai hai ye tawajjoh bhi teri husn-e-gurezan ki tarah ye taghaful bhi meri hausla-afzai hai tera lahja hai ki sannate ne aankhen kholin teri aawaz kalid-e-dar-e-tanhai hai 'shaz' puchho ki ye aankhon ka dhundlaka kab tak raat aai nahin ya nind nahin aai hai