qarun utha ke sar pe suna ganj le chala duniya se kya bakhil ba-juz ranj le chala minnat thi bosa-e-lab-e-shirin ki dil mera mujh ko su-e-mazar-e-shakar ganj le chala saqi sambhaalta hai to jaldi mujhe sambhaal warna uda ke pan nasha-e-banj le chala dauda ke hath chhati pe hum un ki yun phire jaise koi chor aa ke ho naranj le chala chausar ka lutf ye hai ki jis waqt po pade hum bar-chahaar bole to bar-panj le chala jis dam 'zafar' ne padh ke ghazal hath se rakhi aankhon pe rakh har ek sukhan-sanj le chala