jis taraf nazar kije wahshaton ka saman hai zindagi hi kya ab to khwab tak pareshan hai ek hawa-e-betabi hum ko le udi warna baal-o-par ke parde mein himmat-e-gurezan hai ai hawa-e-gham tu ne sab diye bujha dale phir bhi khalwat-e-jaan mein dur tak charaghan hai dar-o-gir-e-wahshat mein ab panah kya dhunden ye zamin daman hai aasman gareban hai main hun jab talak baqi ye mukalima hoga ai haqiqat-e-hasti mera nam insan hai