jo is chaman mein ye gul sarw-o-yasman ke hain ye jitne rang hain sab tere pairahan ke hain ye sab karishma-e-arz-e-hunar usi ke hain gulon mein naqsh tere hi lab-o-dahan ke hain tabiaton mein ajab rang-e-ajnabiyyat hai ye shah-pare to sab tere arz-e-fan ke hain hawas mein ishq mein tahzib-e-tarbiyat ka hai farq wagarna donon usi maktab-e-badan ke hain hamein to la ke yahan par basa diya gaya hai khabar hai mulk-e-adam hum tere watan ke hain amir-e-shahr tu apni qaba-e-zar ko bhi dekh sab is mein tar mere reza-e-kafan ke hain kahan akele meri khwahishon ka dam nikla nishan bhi us ke gale par meri ghutan ke hain khud apne shahr ki tahzib bhul baithe hain ye kaun log hain aur jaane kaise ban ke hain mere harif mera ehtiram karte hain sukhan-waron mein bhi charche mere sukhan ke hain