jis tarah do-jahan mein khuda ka nahin sharik tere jamal mein nahin koi hasin sharik main bhi tera fidai hun mujh pe bhi rahm kha jab tak hai is guman mein kuchh kuchh yaqin sharik us ke sitam hi kam hain jo auron ka nam lun hai aasman sharik na is mein zamin sharik roz-e-jaza ummid hai sab ko saza mile iqdam-e-qatl mein hain mere sab hasin sharik ai badr tera dawa-e-yaktai sab ghalat jumla sifat mein hai tere wo jabin sharik sach puchhiye to jaan-e-jahan mere qatl mein tirchhi nazar ke sath hi chin-e-jabin sharik waiz tu bagh-e-husn ki ek bar sair kar mumkin hai dilkashi mein ho khuld-e-barin sharik kya wajh tere zulm-o-sitam mein maza nahin ai daur-e-charkh aaj wo shayad nahin sharik bheja payam-e-jalsa to andaz se kaha arsa hua ki hum nahin hote kahin sharik 'parwin' ghalat hai un ko samajhna juda juda hain jism-o-jaan ki tarah se duniya-o-din sharik