koi sawal-e-khuda-o-sanam nahin ai dost main kya karun meri gardan mein kham nahin ai dost hamein yahi hai munasib ki ek su ho len jagah miyan-e-wajud-o-adam nahin ai dost khushamadon se nikalta nahin hai kaam yahan moamla hai khuda se sanam nahin ai dost agarche sard andhere hain bais-e-taklif magar ye garm ujale bhi kam nahin ai dost ajab mizaj hai in mai-kada nashinon ka ki qadr-e-jam to hai qadr-e-jam nahin ai dost khula hai aur khulega 'jamil' sab ke liye ye mai-kada hai kunisht-o-haram nahin ai dost