jis waqt bhi mauzun si koi baat hui hai mahaul se naghmat ki barsat hui hai mai-khane mein hai shab ke guzarne ka ye aalam mahsus ye hota hai abhi raat hui hai hai arsa-e-mahshar bhi koi kunj-e-gulistan! dekho to kahan un se mulaqat hui hai ye dekh ki kis haal mein hum zinda hain ab tak mat puchh ki kaise basar-auqat hui hai imkan nikal aae hain 'adam' sulh ke kuchh kuchh kal shab gham-e-hasti se meri baat hui hai